Jab kabhi khud ko yeh samjhaon
Jab kabhi khud ko yeh samjhaon, keh tu mera nahi
Mujh mein koi cheekh uthta hy, nahi, aesa nahi
Kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad
Iss gali ke doosri jaanib, koi rastaa nahi
Tum samajhty ho, bichar jany se mitt jata hy ishq
Tum ko iss daria ke gehraai ka andaza nahi
Yoon tarashoon ga ghazal mein, tery paikar ke nuqoosh
Woh bhi dekhy ga tujhy, jis ne tujhy dekha nahi
Unn sy mil kar bhi kahan mitt ta hy, dil ka iztaraab
Ishq ke deewaar ke dono taraf, saya nahi......