Azhar Durrani Urdu Poetry - Azhar Durrani Ghazal


Mera naseeb hoeeN talkhiyaaN zamanay ki
Kissi naiN khoob saza di hai muskuranay ki

Meray Khuda mujhay Tariq ka hosla ho ata
Zaroorat aan paRi hai kashtiyaaN jalanay ki

Main daikhta hoN her simt pancheeyoN kay hujoom
Ilaahi khair ho saiyaad ka gharanay ki

Qadam qadam pay saleeboN kay jaal phela do
Keh sarkashoN ko to aadat hai sar uthaanay ki

Shareek-e-jurm na hotay to mukhbari kertay
HumaiN khabar hai luteroN kay her thikanay ki

Hazaar haath girebaaN tak aa ga'ay Azhar
Abhi to baat chali bhi na thi zamanay ki


Wao

Related Posts with Thumbnails