Zamanay Ko Bata Do Tum


Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,

Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,

Jala daalu ga teri bewafaa basti ki galiyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,

Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum

Wao

Related Posts with Thumbnails