Yaad-e-Raftagan


Ajab junoon-e-musafat mein ghar se nikla tha
Khabar nahi hia K suraj kidhar se nikla tha

Ye kaun phir se unhin raaston mein chhor gaya
Abhi abhi to azaab-e-safar se nikla tha

Yeh teer dil mein magar be sabab nahi utraa
Koi to harf lab-e-chaaraagar se nikla tha

Yeh ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
Yahi dhuaan mere deewar-o-dar se nikla tha

Main raat toot ke royaa to chain se soyaa
Ke dil ka zaher mere chashm-e-tar se nikla tha

Ye ab jo sar hain Khamidaa, kulaah ki khatir
Ye aib bhi to hum ahal-e-hunar se nikla tha

Wo Qais ab jise majnun pukaarte hain ‘Faraz’
Teri tarah koi deewaanaa ghar se nikla tha...!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails