Woh Jiska Naam Bhi Liya Paheliyon Ki Ott Mein


Woh jis ka naam bhi liya paheliyon ki aut mein
Nazar pari to chhup gayee saheliyon ki aut mein

Rukay gy sharam se kahan yeh khaal-o-khad ki roshni
Chhupay ga aftab kia hatheliyon ki aut mein

Tere mere milaap per woh dushman ki saazishein
Woh saanp reengtay huwe chanbeliyon ki aut mein

Woh tere ishtiyaaq ki hazaar heela saaziyan
Woh mera iztiraab yaar bailiyon ki aut mein

Chalo k hum bujhe bujhe se ghar ka marsiya kahain
Woh chaand to utar gaya haveliyon ki aut mein

Wao

Related Posts with Thumbnails