Usi ka jaanfezaa paighaam aaya


Usi ka jaanfezaa paighaam aaya
Musibat mein khuda hi kaam aaya

Zara pasti mein qismat aazmaa lun
Bulandi se to main naakaam aaya

Bohat unchi uranen bharne walaa
Parindaa aaj zer-e-daam aayaa

Shaheed-e-ishq mein ye dekhnaa to
Hamaare baad kiska naam aayaa

Junun pahle se thaa teri gali mein
Kherad ko bhi wahin aaraam aayaa

Hamaari baat banne jaa rahi thi !
Tabhi basti mein aik gulfaam aayaaa....

Wao

Related Posts with Thumbnails