Tamam umar wohi qissa-e-safar Kehna


Tamam umar wohi qissa-e-safar Kehna
K Aa saka na humein apne ghar ko ghar Kehna

Jo din ho toh tere wasl ki dua Kerna
Jo raat ho toh dua hi ko be-asar Kehna

Ye keh ke doob gaya aaj aakhri Suraj
K ho sake tou issi shab ko ab seher Kehna

Wo shakhs mujh se bohat badguman sa rehta Hai
Ye baat uss se kaho bhi tou soch ker Kehna

Kabhi wo chaand jo pooche k sheher kaisa Hai
Bujhe bujhe hue lagte hain baam-o-darr Kehna

Wo aik main k mera sheher bhar ko apne Siwa
Teri wafa ke taqaazon se be-khabar kehna

Wo aik tu k tera her kisi ko mere Baghair
Maamlaat-e-Muhabbat mein muatbar Kehna

Wafa ki tarez hai Mohsin kii misslehat kia Hai
Ye tera Dushman-e-Janna ko bhi chara'gar Kehna

Wao

Related Posts with Thumbnails