Meri mohabbat to ik goher hai,teri wafa be-karan samandar


Meri mohabbat to ik goher hai,teri wafa be-karan samandar
Tu phir bhi mujh se azeem ter hai,kahan goher hai,kahan samandar

Yaqeen hai dhoke main aa ke utra hai chaand paani ki saltnat main
Bulandi’oun se dikhai deta hai hu-baa-hu aasman samandar

Azal se be-simt justuju ka safar hai derpesh paani’oun ko
Kisey khabar kis ko dhoondta hai meri tarha raigaan samandar

Main tishna lab door se jo dekhon to her taraf sail-e-aab paaon
Qreeb jaaon to rait sholaa,ghubaar sahil.dhuwan samandar

Hamare dil main chupe hoye dard ki khabar chasm-e-ter ko ho gi
Suna hai zer-e-zameen khazano ka hai faqat raazdan samandar

Main ista’aron ki sarzameen pe uter ke dekhon to bhaid paaon
Bashar musafir,hayat sehra,yaqeen sahil,gumaan samandar

Jahan jahan sham-e-gham ki afsurdagi ka matam bapa howa hai
Ufaq se aa ke gale mila hai wahan wahan mehrbaan samandar

Wafa ki basti main rehne waalon se hum ne”Mohsin”ye tour seekha
Labon pe sehra ki tishnagi ho magar dilon main nihan samandar

Wao

Related Posts with Thumbnails