Dil ne wafa ke naam par kaar-e-wafa nahi kiya


Dil ne wafa ke naam par kaar-e-wafa nahi kiya
Khud ko halak kar diya khud ko fida nahi kiya

Jane teri nahi ke sath kitne hi jabar thy ke thy
Maine tere lehaz mein tera kaha nahi kiya

Tu bhi kisi ke baab mein ahad shikan ho ghaleban
MaiN ne bhi ek shakhs ka qazar ada nahi kiya

Jo bhi ho tum per motariz usko yahi jawab do
Aap bohat sharif haiN aapne kya nahi kiya

Jis ko shaikh-o-shah ne hukam-e-khuda diya qarar
Humne nahi kiya wo han bakhuda nahi kiya

Nisbat-e-ilm hai bohat hakim-e-waqt ko azieez
Usne to kar-e-jehal bhi be olama nahi kiya...

Wao

Related Posts with Thumbnails