Bichar ke mujh se kabhi tu ne


Bichar ke mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
Adhura chand bhi kitna udas lagta hai

Ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
Ke is ke bad wahi duriyon ka sahara hai

kuch aur dair na jharta udasiyon ka shajar
Kise khabar tere saye main kaun baitha hai

Ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
Wo ruth kar bhi mujhe muskura ke milta hai

Main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
Tera badan hai ke ye ainon ka dariya hai

Wao

Related Posts with Thumbnails