Tera Lehja Badalta Ja raha hay...!!!


Tera lehja badalta ja raha hai.
Mager ab dil badalta ja raha hai.

Mere saman mein rakhi hain yadein,
Safar khushboo mein dalta ja raha hai.

Diye iss ankh mein jalne lage hain,
Mera chahra bighalta ja raha hai.

Kinare ab talak tishna hain lekin,
Yeh darya rukh badalta ja raha hai.

Tere iss shehar mein khud ko ganwa ke,
Musafir hath malta ja raha hai.

Agarcha roz mosam bighta hai,
Yeh jangal roz jalta ja raha hai....!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails