Mere hamsafar teri nazar hain


Mere hamsafar teri nazar mein, mere jazba-e-dil ki yeh shiddatain
Meri chaah meri muhabbatain, mere sajday meri ibaadatain

Woh jo saath chalne ka khwaab thaa, kaheen reh gaya, kaheen kho gaya
Kaheen khoo gaya mera hamsafar, raheen paas ab na woh chaahatain

Woh gulaab thay ke khwaab thay, tere harf harf mein khitaab thay
Tera taaza khat bhi mila magar, nahee is mein pehli si shiddatain

Mere chaand tu hi bata mujhe, kahaan hai woh mera zamaana-e-saaz
Kahaan thak ke reh gaya karvaan, kahaan reh gaeen meri sangatain

Woh jo mausamoon ka habeeb thaa, meri pyasi aankh ka khwaab thaa
Woh mujhay ab bhi azeez hai, karay dil per ab bhi hukomattain..!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails