Itne Khamosh Bhi Raha Na Karo ...
Itne khamosh bhi raha na karo
Gham-e-judai mein yun kiya na karo
Khawab hote hain dekhne ke liye
In mein ja ker mager raha na karo
Kuch na ho ga gilla bhi kerne se
Zalimmon se gilla kiya na karo
In se nikleen hikayateen shayad
Hurf likh ker mita diya na karo
Apne rutbe ka kuch lihaz Muneer
Yaar sab ko bana liya na karo,,,,,