Is Ada Se Wo Wafa


Is ada se wo wafa karte hain
Koi kia jane ke wafa karte hain

Hamko chhodo gae to pachtao gae
Hansane waalon se hansa karte hain

Ye batata nahi koi mujhko
Dil jo aa jaye to kya karte hain

Husn ka haq nahi rahta baqi
Har ada mein wo ada karte hain

Kis qadar hain teri ankhen bebak
In se fitne bhi haya karte hain

"Daagh" tu dekh to kya hota hai
Jabr par jabr kiya karte hain...!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails