Ussi aik fard ke waste - Adeem Hashmi Poetry


Ussi aik fard ke waste mere Dil mein Dard hai kis liye,
Meri zindagi ka mutalba wohi aik fard hai kis liye,

Tu Jo shehar mein hi muqeem hai to musafrat ki fiza hai Q,
Tera karwan Jo nahi gya to Hawa mein gard hai kis liye,

Na Jamal-o-hussnn ki bazam hai, na janun-o-ishq ka azam hai,
Sar-e-dashat rakas mein her ghari koi bad gard hai kis liye,

Tere hussnn se yeh pata chala, tujhe dekh kar yeh khabar hui,
Jahan rasta hi nahi koi, waha rah nurad hai kis liye

Jo likha hai mere naseeb mein kahin Tu ne parh to nahi liya,
Tere hath sard hai kis liye,, tera rang zard hai kis liye,

Wo Jo tark-e-rabt ka ehad tha kahin totne to nahi laga,
Tere Dil ke dard ko dekh ke mere Dil mein dard hai kis liye,

Koi waasta Jo nahi raha, teri aankh mein yeh nami hai Q,
Mere gham ki aaG ko dekh ker Teri "aah" sard hai kis liye...!

Wao

Related Posts with Thumbnails