Phool Aur Kaante


Dekhta hoon phool aur kante behar soo aaj bhi,
Yaad karta hoon teri khushboo teri khoo aaj bhi,

Jane kyun jalti sulagti shaam ke iwan mein,
Phail jati hai teri baton ki khushboo aaj bhi.

Zesat ke khusta,Shukasta gumbadon mein gha gha,
Gunjta hai teri awazon ka jadoo aaj bhi.

Zulaf kab ki aatish-e-ayam se kumla gae,
Zulaf ka saya nahi dhulta sir-e-soo aaj bhi.

Tu ne apne hath se jis per likha tha mera naam,
Woh sanobar lehlahata hai ab joo aaj bhi..!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails