Kaash hum khul ke zindagi kartay


Kaash hum khul ke zindagi kartay
Umar guzri hai khud kushi kartay

Bijlian iss taraf nahi aaiin
Warna ham ghar main roshni kartay

Kaun dushman teri tarah ka tha
Aur ham kis say dosti kartay

Ishq Ujrat talab na tha warna
Hum teray dar pay nokri kartay

Iss tamanna main ho gaye roswa
Hum be jee bhar ke aashqi kartay

Hussn us ka na khul saka MOhsin
Thak gaye log shayeri kartay....!!!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails