Is Qadar Musalsal Thin Shidaten By Ahmad Faraz


Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
Aaj pehli bar uss se main ne bewafai ki

Wrna ab talak yun tha khuwishon ki barish mein
Ya to tut kar roya ya ghazal sarai ki

Taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein
Aaj un se majburan taza ashanai ki

Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
Tune kis ghari zalim meri hamnavai ki

Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh ke
Aap se koi puche hum ne kya burai ki

Phir qafas mein shor utha qaidiyon ka aur sayyad
Dekhna urra dega phir khabar rihai ki

Dukh howa jab uss der per kal faraz ko dekha,
Lakh aaib thy uss mein khoo na thi gudai ki....

Wao

Related Posts with Thumbnails