Dil hi toh hai na sang-o-Khasht


Dil he toh hai na sang-o-Khasht, Dard say bhar na aye kyun,
Royengay hum hazar baar, koi humein sataye kyun...

Dair nahein, Harum nahein, Dar nahein, Aastann nahein,
Bethay hain rehguzar pay hum, koi humein uthaye kyun...

Jab woh jamaal-e-Dil faroz soorat-e-Mehar neem rose,
Ap he ho nazara soz parday mein munh chhupaye kyun...

Dashna ghumzah jann sitann, nawak-e-Naaz bay panah,
Tera he aks-e-Rukh, sahi samnay tere aye kyun...

Qaid-e-Hayat-o-Band-e-Ghum asl mein donon ek hain,
Maut say pehlay aadmi ghum say nijaat paye kyun...?

Husn or uspay husne-e-Zan rah gayi bulhawas key sharm,
Apnay pay eitmaad hai, Ghair ko aazmaaye kyun...?

Wan woh gharoor-e-Izz-o-naaz yan yeh hijab-e-Paas-e-Waza,
Rah mein hum milen kahan bazm mein woh bulaye kyun...

Haan woh nahein Khuda parast jao woh bay-wafa sahi,
Jis ko ho deen-o-Dil azeez us key gali mein jaye kyun...

Ghalib-e-Khasta k baghair kaun say kaam band hain,
Roiyeh zaar zaar kya, Kijiyeh haye haye kyun...?

Wao

Related Posts with Thumbnails