Chand Chehra Sitara Aankhein


Mere Khudaya! maiN zindagi ke azab likhoon ya Khuvaab likhoon
Yeh mera chehra, yeh meri aankhaiN
Bujhey hoey haiN chiragh jaisey
Jo phir se jalney ke muntazir haiN
Voh chaand chehra, sitara aankhaiN
Voh meherbaaN, saaya dar zulfaiN
JinhooN nay paimaaN kiye thai mujh se
RifaqatooN ke, mohabbatooN ke
Kaha tha mujh se ke aaey musafir, raah-e-vafa
Ke jahaN bhi jaey ga hum bhi jaingaiN saath tere
BanaigaiN ratooN maiN chandni hum to din main saeey bakhair daiN gaiN
Voh chaand chehra, sitara aankhaiN
Voh meherbaaN saaya dar zulfaiN
Voh apney paimaaN rifaqatooN ke,
MohabbatooN ke shikast kar gaey haiN
Najaney abb kis kis reh guzar ka minarah-e-rooshni hoey haiN
Magar musafir ko kia Khabar hai?
Voh chaand chehra to bujh gaya hai
Sitara aankhaiN to so gai haiN
Voh zulfain bay saya ho gai haiN
Voh rooshni aur voh saey meri aata thai
So meri rahooN maiN aaj bhi haiN
Ke maiN musafir raah-e-vafa ka
Voh chaand chehra, sitara aankhaiN
Voh meherbaan saya dar zulfaiN
Hazaroon chehrooN, hazarooN aankhoon
HazarooN zulfoon ka ek sailaab-e-tund lay kar
Mere tauqub maiN aa rahey haiN
Har ik chehra hai chaand chehra
HaiN saree aankhain sitara aankhaiN
Tamam haiN
Saya dar zulfaiN
MaiN kisko chahooN maiN kisko poojooN?
MaiN kis ke saaey main baith jaooN
BachooN ke toofaaN maiN doob jaoooN?
Ke mera chehra, na meri aankhaiN

Mere Khudaya! maiN zindagi ke azab likhooN ya Khuvaab likhooN

Wao

Related Posts with Thumbnails