Yeh Pichle Ishq Ki Batein Hain by Mohsin Naqvi


Yeh pichle ishq ki baatein hain

Jab aankh mein khawab damak’te the
Jab dil mein dagh chamk’te the

Jab pelkain sheher k rastoon mein
Ashkoon ka noor lutati theen

Jab san’sain ujle chehroon ki
Tun-mun mein phool sajaati theen

Jab chand ki rim jhim kirnoon se
Soochon mein bhanwar perr jaate the

Jab eik tala’tum rehta tha
Apne be-ant khayaloon mein

Her ehad nibhane ki qasmain
Khut khoon se likhne ki rasmain

Jub aam theen dil waloon mein
Ab apni ujrri aankhon mein

Jitni roshan si raatein hain
Is umer ki sab sooghatein hain

Woh pichli umer thi beet gayi
Woh umer bitaye saal hoe

Ab apni deed k raastoon mein
Kuch rang hai guzre lamhoon ka

Kuch ashkoon ki baratien hain
Kuch bhoole basre chehre hain

Kuch yadoon ki barsatein hain
Yeh pichle ishq ki batein hain

Wao

Related Posts with Thumbnails