Taj Mahal | Sahir Ludhiyanawi


Taj tere liye ek mazhare ulfat hi sahi
Tujhko iss waadiy-e-rangiiN se aqeedat hi sahi
Mere mahboob kahiN aur mila kar mujhse

Bazm-e-shaahi meiN ghareeboN ka guzar kya maani?
Sabt jis raah pa hoN satwat-e-shahi ke nishaaN
Uss pe ulfat bhari roohoN ka safar kya maani?
Meri mahboob pasey pardaey tash'hir-e-wafa
Tu ne satwat ke nishaanoN ko tO deikha hota
Murda shaahoN ke maqabir se bahalney waali
Apne taariik makanoN ko tO deikha hota
Anginat logoN ne duniya meiN mohabbat ki hai
Kaun kahta hai ke saadiq na thEy jazbe unke
Lekin unke liye tash'heer ka saamaan nahiN

KyuN ke woh logg bhi apni hi tarah muflis thEy
Yeh emaraat-o-maqaabir, ye faseeleiN ye hesaar
MutlaqulHukm shahanshahoN ki azmat ke sutooN
Daaman-e-dahr pe us rang ki gulkaari haiN
Jis meiN shaamil hai tere aur mere ajdaad ka khooN

Meri mahboob unheiN bhi tO mohabbat hogi
Jin ki raanaai ne bakhshi hai isey shakl-e-jameel
Unke pyaroN ke maqabir rahe be naam-o-namood
Aaj tak unpa jalaai na kisi ne qandeel
Ye chamanzaar, ye Jamna ka kanara, ye mahal
Ye munaqqash dar-o-deewaar, ye mehraab, ye taaq
Ek shahanshah ne daulat ka sahara le kar
Humm ghariboN ki mohabbat ka uRhaya hai mazaaq
Mere mahboob kahiN aur mila kar mujhse...!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails