Mana wadi-e-ishq mein --Noshi Gillani


Mana wadi-e-ishq mein paoon andha rakhna parta hai
Lekin ghar ko janay wala rasta rakhna parta hai.

Tanhai wo zehar bhuji talwar hai jiski dehshat se
Ba'az oqat tou dushman ko be zinda rakhna parta hai.

Jabr ki jitni unchi chaho, tum deewar utha laina
Lekin is deewar mein ik darwaza rakhna parta hai.

Hijr ka darya aan para hai beech tou koi baat nahi
Ishq main saathi thora sa tou hosla rakhna parta hai.

Bekhabari shamain hon tou phir anjaan musafir ko
Sehra mein be simton ka andaza rakhna parta hai..!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails