Khubsurat Mor


Chalo ik baar phir say ajnabi bun jaaiN hum dono
Na main tum say koi umeed rakhooN dil navazi ki
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazroN say
Na meray dil ki dhaRkan laRkhaRa'ay meri baatoN say
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazroN say

TumhaiN bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi say
Mujhay bhi log kehtay haiN, yeh jalvay paraa'ay haiN

Meray humraah bhi rusvaaiyaaN haiN meray maazi ki
Tumharay saath bhi guzri hui raatoN kay saa'ay haiN

Ta'aruf rog ho ja'ay to iska bholna behtar
Ta'aluq bojh bun ja'ay to iska toRna achha
Wo afsaanay jissay anjam tak laana na ho mumkin
Issay ik khoobsurat moR day ker choRna achha

Chalo ik baar phir say ajnabi bun jaaiN hum dono

Wao

Related Posts with Thumbnails