Wafaa Ke Sheesh-Mehal Mein


Wafaa ke sheesh-mehal mein saja liya maine
Wo ek dil jise patthar bana liya maine

Ye sochkar ke na ho taak mein khushi koi
Ghamo ki ot mein khud ko chupaa liya maine

Kabhi na khatam kiya maine roshni ka mujaaz
Agar chiraag bujhaa, dil jala liya maine

Kalaam ye hai ke dushman pe jo chalaana tha
Wo teer apne kaleje pe khaa liya maine

Qateel jiski adawat mein ek pyaar bhi tha
Us aadmi ko gale se laga liya maine

Wao

Related Posts with Thumbnails