Jub usay yaad kiya hai hum ne


Jub usay yaad kiya hai hum ne
Waqt burbaad kiya hai hum ne

Ek sheher faut aarzuon ka
Dil main aabaad kiya hai hum ne

Aitaraaf-e-shikust hum ko na tha
Ye teray baad kiya hai hum ne

Hum ko iqrar-e-jurm hai yaaroan
Khud ko burbaad kiya hai Hum ne

Qulb main tukhm-e-ishq ko bo ker
Rait ko khaad kiya hai hum ne

Tum giriftar-e-wafa thay Tanweer
Aaj aazaad kiya hai hum ne

Wao

Related Posts with Thumbnails