Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna



Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judai mangtay rehna

Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudai maangtay rehna

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsai mangtay rehna

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bewafai mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navai mangtay rehna

Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehai mangtay rehna

(Noshi Gillani)

Wao

Related Posts with Thumbnails