Aik Anjaan ko Main Jaan-e-Tamanna Samjhon


Aik Anjaan ko Main Jaan-e-Tamanna Samjhon
Sab Kahen Ghair Hai Par Main Usse Apna Samjhon

Lab Na khul Paayen Agar Woh Ho Muqabil Mere
Yeh Uss Ke Hussnn Ka Chota Sa Karishma Samjhon

Ik Pal Ko Bhi Uss Ke Pyaar Ki Baarish Joh Ruke
Main Samandar ko Bhi So Saal Ka Pyasa Samjhon

Faayda Koi Nahin Uss Ke Bina Mehfil Mein
Raunak-e-Bazm Kisi Ko Joh Uss Ke Ilaawa Samjhon

Uss Ke Chehre Ne Mujhe Daal Diya Hai Mushkil Mein
Main Usse Chaand Saa,Yaah Chaand Ko Uss Sa Samjhon

Wao

Related Posts with Thumbnails