Teri Gali Ko Chor Ke...!!


Teri gali ko, chor ke jana to hai nahi
duniya mai aur koi thikana to hai nahi

jee chahta hai raah mai mill jaye wo kahin
halan ke moajzon ka zamana to hai nahi

iss ghar mai uskay naam ka kamra hai aaj bhi
jiss ko kabhi bhi laut ke aana to hai nahi

saari hadon ko chor doon shohrat ke wastay
ab aisa waisa mera gharana to hai nahi

hairaan hoon mai kaisay wo batch kar nikal gaya
itna kharaab mera nishana to hai nahi

shayad wo rehmm kha ke teri jaan bakhsh day
qaatil hai koi dost purana to hai nahi

ashkon ko "ROOHI" kharch karo daikh bhaal k
aankhon ke paas, koii khazana to hai nahi

Wao

Related Posts with Thumbnails