Mujhe Tum Nazar Se Gira To Rahe Ho - Ghazal


mujhe tum nazar se gira tu rahe ho
mujhe tum kabhi bhi bhula na sako ge


najaane kyun mujhe yaqeen ho chala hai
mere pyar ko tum mita na sako ge


meri yaad hogi,jidhar jaoge tum
kabhi naghma bun keh,kabhi bun keh aansoo
tarapta mujhe hartaraf paoge tum


shama jo jalai hai meri wafa ne
bujhana bhi chaho,bujha na sako ge


kabhi naam baaton mein aaya jo mera
tu bechain ho ho keh dil thaam loge


nigaaho mein chaaye ga ghum ka undhaira
kisi ne jo poocha sabab aansooon ka
batana bhi chaho ,batana sako ge

Wao

Related Posts with Thumbnails