Halaat ki gardish se ghabraaya nahin kartay....
Kabhi halaat ki gardish se ghabraaya nahin kartay
Hisaab-e-zindgaani sab ko samjhaaya nahin kartay
Bohot be-chain kar detay hain mustaqbil ke andeshay
Bohot se khaab hain taabeer jo paaya nahin kartay
Kheyaalon ke gulistaanon mein aati ha khizaa.n bar
Bohot se zakhm hain aisay jo dikhlaaya nahin kartay
Rivaaj-o-rasm ki bandish ujaalay cheen leti hai
Khalish dil mein ho sab ko batlaaya nahin kartay
Koi dil mein ho aur vo doosray ke dil ki dharkan ho
Muqaddar apna apna hai sabhi paaya nahin kartay