Kuch Aankh Milaane Se


Kuch aankh milaane se kar li hai nazar zakhmi
Kuch rog chupaane se kar baithe jigar zakhmi

Akhbaar ki har surkhi youn surkh lage har din
SatroN ke badan chalni alfaaz ke sar zakhmi

Tasweer-e-tasawwur par kyoun dhool ki chaadar hai
Ye soch ke kar baithe sochoN ka safar zakhmi

Chaahat ki musaafat mein kaisa hai ye do raaha
Tum ho ke udhar zakhmi hum haiN ke idhar zakhmi

YaaroN ki judaai se behtar hai ke mar jaaye
Achha hai na ho paaye phir shaam-o-sahar zakhmi

Shaitaan ke hone se shaitaan maza looteiN
Insaan ke haathoN se insaan magar zakhmi

Hum un ki jafaaoN par ehsaan to kar jaate
Doraan-e-wafa daari hote na agar zakhmi

Kya khoob nizaamat hai arbaab-e-hukoomat ki
Mazdoor kisaaN naalaaN, taaleem-o-hunar zakhmi

GaaoN bhi udaas haiN shehar bhi faryaadi
Har raah guzar giryaaN har ek nagar zakhmi

Wao

Related Posts with Thumbnails