Koi Nai Chot Phirse Khao Udaas Logo !
Koi nai chot phir se khao, udaas logo !!
Kaha tha kis ne ke muskarao, udaas logo !
Guzer rahi hain gali se phir maatami hawaein
Kewaar kholo, Diye bujhao udaas logo !
Jo raat muqtal main baal khole uter rahi thi
Wo raat kesi rahi? sunao udaas logo !
Kahan talak baam.o.dar charaghaan kiye rakho ge ?
Bicharne walon ko bhool jao, udaas logo !
Ujaar jungle, dari fiza, haanpti hawaein
Yahin kahin bastiyan basao, udaas logo !
Ye kis ne sehmi hoi fiza main hamein pukara
Aur ye kis ne aawaz di ke, Aao !! Udaas logo !!
Yeh jaan ganwaany ki rutt yunhi raigaan na jaye,
Sar-e-sinaan koi ser sajao, udaas logo!!
Ussi ki baaton se he tabbiyat sambhal sake gi
Kahin se Mohsin ko dhoond lao udaas logo...!!!
