Kabhi Hum Khubsoorat Thay


Kabhi hum khubsoorat thay


kitaabon mein basi khushbu ki maanind
saans saakin thi
bohut se unkahe lafzon se,
tasveeren banaatay thay
kabhi hum khusurat thay.


Parindon ke paron par nazm likh kar
door ki jheelon main basnay waalay logon ko,
sunate thay.
jo hum sai door thay laikin
humaray paas rehtay thay


Naye din ki musafat jab kiran ke saath aangan main utarti thi
to hum kehtay thay (ammi titlion ke par buhot hi khubsurat hain)


humain maathay pai bosa do
ke hum ko titliyon ke jugnuon ke des jaana hai
humain rangon ke jugnu
roshni ki titliyan awaaz daiti hain..
naye din ki musafat rang main goondi hawa ke saath khirki sai bulaati hai..
humain maathay pai bosa do

Wao

Related Posts with Thumbnails