Dunia ka bhi kuch bura tamasha nahi raha...!!!


Dunia ka bhi kuch bura tamasha nahi raha
Dil chahta tha jis terah waisa bhi nahi raha

Tum say millay bhi hum , judaaie kay Mor per
Kashti hoyee naseeb to darya nahi raha

Kehtay thay ik pal na jeeain gay tere baghair
Hum donoo reh gaye , woh wada nahi raha

Katay hain tere bad is terah roz -o-shab
Main saans lay raha tha per zinda nahi raha

Ankhain bhi daikh daikh k khuwab, aa gai hain tung
Dil main bhi ab woh shoq , woh lapka nahi raha

Kaysay milaain aankh kissi aainay say hum
Ab to Hamaray paas woh chehra nahi raha !

Wao

Related Posts with Thumbnails