Awaargi mein hud se guzar jana chaheeye.......


Awaargi mein hud se guzar jana chaheeye,
Lekin Kabhi Kabhar, To ghar jana chaheeye.

Mujh se bichar kar in dinon kis rang mein hain woh,
Yeh dekhney raqeeb key ghar jana chaheeye,

Us buut se ishq kijeiye lekin kuch is tarah,
Puche koi to saaf mukar jana chaheeye,

Afsos apne ghar ka puta hum se kho gaya,
Ab sochna yeh hai ke kidhar jana chaheeye,

Rab-e-wisal, wasl kah mausam bhi aagaya,
Ab to mera naseeb sunwar jana chaheeye,

Nadaan yeh jawani ka zamana guzar gaya,
Ab aagaya burhapa, sudhar jana chaheeye,

Bhaitey raho gey kab dasht mein kab tak hussan raza,
Jeena agar nehein hai to mar jaana chaheeye,

Wao

Related Posts with Thumbnails