Aaye Thy Unke Saath Nazaare Chale Gaye
Aaye thy un ke sath nazare chale gaye
wo shab, wo chandni, wo sitaray chalay gaey
Shayad humhary sath bhi wapis na aa sakain
woh walwaly jo sath tumhary chalay gaey
Kashti tarap kay halqa-e-toofan main reh gai,
dekho to kitni door kinare chalay gaey,
Har aastan agarcha tera aastan na tha,
har aastan pe tujh ko pukare chalay gaey,
Sham-e-wisal khana-e-ghurbat se rooth kar,
tum kya gaye, naseeb hamary chalay gaey
