Waqt ka kya hai guzarata hai guzar jaayega ...!
Aankh se dur na ho dil se utar jaayega
Waqt ka kya hai guzarata hai guzar jaayega
Etana manos na ho Khilvat e Gum se apani
tuu kabhii Khud ko bhi dekhega to dar jaayega
tum sar e rah e Wafa dekhate rah jao gey
aur wo bam e rafaqat se utar jayega
zindagii terii ataa hai to ye janevala
teri baKhshish teri dahaliz pe dhar jayega
dubate dubate kashti to ochhala de don
main nahin koi to sahil pe utar jayega
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraz
zalim ab ke bhii na royega to mar jayega