Bewafai se pareshan bhi ho jatey hain.......!


Bewafai se pareshan bhi ho jatey hain,
narm jhonkey kabhi toofan bhi jatey hain.

hum ne mehboob jo badla to ta’ajub kesa,
log kafir se musalman bhi ho jatey hain.

yun to ik dard ka rishta hai sabhi logon se,
log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain.

shehr bhar ko main muhabbat ka sikha doon lekin,
khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain.

hadisa ho ya koi mojza shahi kuch ho,
rastey pyar k asan bhi ho jatey hain....

Wao

Related Posts with Thumbnails