Shab-e-Soz Mairey Dar Pey Aati Hai Aaj Phir


Shab-e-Soz Mairey Dar Pey Aati Hai Aaj Phir
Wohi Afsaana-e-Junoon Dohraati Hai Aaj Phir

Jissey Bhoolney Ko Mainey Laga Diya Zamana
Zindagi Mujhey Woh Geet Sunaati Hai Aaj Phir

Uff Ye Sitam Ke Maazi Ke Band Dareechon Say
Ekk Bhattki Huyi Sada Pukaarti Hai Aaj Phir

Mujhey Umr-e-Jawaid Ki Dua Na Do Ke Mairey Liye
Koi Zubaan Mairi Mot Maangti Hai Aaj Phir

Wabasta Hain Jiss Say Yaadon Ke Kayi Pehloo
Sawan Ki Wohi Raat Barasti Hai Aaj Phir

Kabhi Toota Tha Woh Khuwab Dikhati Hai Mairi Nazar
Ekk Aur Haseen Faraib Daiti Hai Aaj Phir

Thama Tha Kabhi Tum Ne Dam-e-Aakhir Parrha Tha Jo
Haan Ussi Diye Ki Lo Thartharraati Hai Aaj Phir

Minat-e-Toofaan Na Karein Gay Ke Hasraton Ki Kashti
Saahil-e-Tammana Ki Qasam Uthaati Hai Aaj Phir

Sukoon Kabhi Mila Nahin Chain Humara Naseeb Kahan
Mujhey Waadi-e-Dard-o-Gham Bulaati Hai Aaj Phir

Kya Patharon Ko Pukaar Baitha Hai Jo Sada-e-Dil
Lot Kar Mairi Samaa'at Say Takraati Hai Aaj Phir …!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails