Dil main uska naam likhaya to bewafa hui


Dil main uska naam likhaya to bewafa hui
Jab tanhai ko apnaya to bewafa hui

Bhulana chahti thi to aur yaad ata tha
Gham ko shairi main sajaya to bewafa hui

Aag se khailne ka shauq tha usse
Maine aik kagaz jalaya to bewafa hui

Uska aks chupaya ashqoon ke peeche
Lekin duniya ko hansaya to bewafa hui

Pukarti rahi akhri dam tak us zalim ko
Maut ko seene se lagaya to bewafa hui

Wao

Related Posts with Thumbnails