Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha


Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho
Wohi yaani waada nibah ka TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh naay gilay woh shikaayateN Woh mazay mazay ki hikayateN
Woh har ik baat peh roothna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Koi baat aisee gar hooee Keh tumharay jee ko buree lagee
To bayaN say pehlay hee bhoolna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Suno zikr hai kai saal ka , koi vaada mujh se tha aap ka
Wo nibahne ka to zikr kya TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh jo lutf mujh peh thay peshtar Woh karam keh tha mray haal per
Mujhay sabb hay yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi hum maiN tum maiN bhi chah thee Kabhi hum maiN tum maiN bhi rah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Hooay ittefaq say gar baham To wafa jatanay ko dam badam
Gila-e-malamat-e-aqrabaa TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Wo jo lutf mujhpe the peshtar, wo karam ke tha mere haal par
Mujhe sab hai yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi baithe sab mein jo ru ba ru to isharaton hi se guftgu
Wo bayan shauk ka barmala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kiya baat main ne wo kothe ki, mere dil se saaf utar gayi
to kaha ke jaane meri bala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh bigarnaa wasl ki raat ka Woh naa ma’an-na kisi baat ka
Who nahiN nahiN ki har aan adaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Jisay aap gintay thay aashnaa Jisay aap kehtay thay baawafa
MaiN wohi hooN Momin-e-mubtalaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Wao

Related Posts with Thumbnails