Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi


Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain apna banaaon gi

nichaawar khawaab kar doon gi terey har ishaarey par
kabhi peepal ki chaaon main kabhi nadiya kinaarey par
tumhain thandak ataa kar doon gi ik basaat ki manend
bikhartey chaand jharnoon main ujalti raat ki manend

mujhey tum se muhabbat hai main logoon ko bataaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain apna banaaon gi

main chaahon gi tumhain janaan umangon se ujaalon tak
khudi ke dasht se le kar naey janmon ke saalon tak
Meri thandi si tanhaae sulagti raat jaisee ho
mujhey bas saath le jao bhaley baraat jaisee ho

tmharey surkh jorhey main hi dulhan ban ke aaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain apna banaaon gi
**PoetryGhar.Com**

Wao

Related Posts with Thumbnails