Is se pehle ke Bewafa ho jayin


is se pehle ke Bewafa ho jayin
kyon na aiy Dost hum juda ho jayain

Tu bhi hijr se ban gaya pathar
hum bhi kal jane kya se kya ho jayain

Tu kay yakta tha beshumar hoa
hum bhi totay to jabaja ho jayain

Hum bhi majboriyoon kay uzer karain
phir kahin or Mubtala ho jayain

Hum agar manzilein na ban payain
manzilon tak ka rasta ho jayin

Bandagi hum ne chor di hai FARAZ
kya karien log jab khuda ho jayain

Wao

Related Posts with Thumbnails