Barisho'n k mausam main aur kuchh nahee hota


Barisho'n k mausam main

aur kuchh nahee hota,

log yaad aate hain,

chahato'n ki dharti par,

dil k gulsitano'n mai,

pehli boond parhte hi,

zakhm khilne lagte hain,

dard jaag utthey hain,

yaad aane lagte hain,

zindagi k wo lamhey,

jo guzarey jate hain,

aik umr mai sabko,

khushgawar lamho'n mai,

zindagi ki raho'n mai,

rootthna bhi hota hai,

tootna bhi hota hai,

sath chalne waley jab,

raah ko badalte hain,

to dafn karna parhta hai,

chato'n k lamho'n ko,

bhool na hi hota hai,

barisho'n k mausam main,

aur kuchh nahii hota,

chahato'n k wo lamhey,

phir se jaag utth'te hain,

zakhm khilne lagte hain..!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails