Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi



Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi
Jab Voh Mahandii Rachaaye Haathon Mein
Apani Aahat Key Khauf Sey Larazaan
Surkh Aanchal Meen Muunh Chupaaye Hue
Apaney Khat Mujh Sey Leney Aai Thi
Us Ki Sehemi Hui Nigaahon Mein
Kitni Khaamosh Iltijaayen Theen
Us Key Chehrey Ki Zard Rangat Mein
Kitni Majbuuriyon Key Saaye They
Merey Haathon Sey Khat Pakadatey Hi
Jaaney Kya Soch Kar Achaanak Voh
Mera Shaana Pakad Kar Roi Thi
Us Key Yaaquut Rang Honton Key
Kap-Kapaatey Huey Kinaaron Per
Sainkdon An-Kahey Fasaaney They
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar
Jab Yeh Manzar Dikhaai Deta Hai
Ek Lamha Hinaai Haathon Sey
Mujh Ko Apani Taraf Bulaata Hai
Hum-Nashiin Ruuth Kar Na Jaa Mujh Sey
Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi

Wao

Related Posts with Thumbnails