Mujhe Khala Mein Bhatakne Ki Aarzu Hi Sahi
Mujhe Khala Mein Bhatakne Ki Aarzu Hi Sahi
Ke Tu Mile Na Mile Teri Justaju Hi Sahi
Qareeb Aa Shab-E-Tanhayi Tujh Se Pyar Karein
Tamam Din Ki Thakan Ka Ilaaj Tu Hi Sahi
Bare Khuloos Se Milta Hai, Jab Bhi Milta Hai
Wo Bewafa To Nahin Hai, Bahana-Ju Hi Sahi
Magar Wo Abr Samandar Pe Kyun Barasta Hai
Zameen Banjur Sahi, Khaak Be-Namuu Hi Sahi
Tum Apne Dagh-E-Sir-E- Perhan Ki Baat Karo
Hamara Daman-E-Sad- Chaak Be-Rafuu Hi Sahi
Ye Naaz Kum To Nahin Hai Ke Unse Mil Aaye
Wo Ek Pal Ko Sir-E-Raahe Guftaguu Hi Sahi
Jo Apne Aap Se Sharmaye' Kis Se Baat Kare
Main Aaine Ki Tarah Uske Ru-Baru Hi Sahi
Kissi Tarah To Ye Tanhaiyon Ki Shaam Kate
Wisaal-E-Yaar Nahin, Qurbat-E-Aduu Hi Sahi
Ye Sajda Sir-E-Muqtal Ka Waket Hai Mohsin
Khud Apne Khun-E-Rag-E- Jaan Se Ab Wuzuu Hi Sahi