Mujhse karta hai woh meri baatein

Mujhse karta hai woh meri baatein
Roz sunta hai woh meri baatein
Hont khamosh hein magar
Rukh se parhta hai woh meri baatein
Baat karne pe kal na maael tha
Aaj karta hai woh meri baatein
Ronay lagta hai dekh kar chehra
Sun ke hansta hai woh meri baatein
Yun to har cheez bhool jata hai
Yaad rakhta hai woh meri baatein
Ghore say harf harf parhta hai
Dil pay likhta hai woh meri baatein
Jane kyun har kisi say
Karta hai woh meri baatein