Nazar se door hon lekin dikhae de raha houn


Nazar se door hon lekin dikhae de raha houn
Main chup tou hon magar usko sunai de raha houn

Mere charon taraf noha garon ki bastiyan hain,
Main inko dawat-e-nagma sirai de raha houn

Woh apne jurm per nadim nahi aur mujhko dekho,
Main apne apko iski safai de raha houn

Wasal amaiz lamho ko bacha kar rakhne wale,
Main tujhko zindagi bhar ki judai de raha houn

Wao

Related Posts with Thumbnails