Hamary dill ki qayel ho gai thi


Hamary dill ki qayel ho gai thi
Udasi kitni maayl ho gayi thi

 laga jesy samandar aa pary hian
 zara si baat haayl ho gayi thi

wo jab sanson me teri khushbo the
hawa us raat sayel ho gayi thi

 qadam bujhny lagy thy ghngron se
 zamee paaon me paayal ho gayi thi

Usy Dukh me zara dekha tha farhat
Hamari Roh Ghayal  Ho gayi thi

Faqat nigaah sy hota hai faisla


Faqat nigaah sy hota hai faisla dil ka …

Na ho nigaah mein shokhi to dilbari kia hai

Zindagi ki yeh kahani adhoori reh gayi


Meri khamoshhi thi jo seh gayi 
Uski yaadein hi ab iss dil mein reh gayi 

Thi shayad uski bhi koi majboori
Jo meri zindagi ki yeh kahani adhoori reh gayi

Aarzoo ke kanwal khilay he na thy


Aarzoo ke kanwal khilay he na thy
Farz karlo ke hum milay he na thy

Kabhi Kabhi


Kabhi kabhi khizan darkhton pr
he nahi hamary wajod 
per bhi utarti hai lekin us
khizan ka hamary siwa kisi
aur ko ilam nahi hota....

Wada aur Yadein


Aik farq hai 
Wadon aur yadon mein...

Wada hum tor dete hain 
aur 
Yadein humein tor deti hain...!!

Qabol-e-Juram Karte Hain...


Qabol-e-Juram Karte Hain Tere Kadmo Mein Gir ke Hum

Saza-e-Mot Qabol hai Magar Teri Judai Nhi

Aaj Phir udaas Hoon


Aaj Phir udaas Hoon!
Khair... Yeh Tumhara Masla Nhi

Adalat Ishq Ki Hogi


Adalat Ishq Ki Hogi Mukadma muhabbat Ka Hoga;

Gawahi Mera Dil Dega Mujrim Tera Pyar Hoga..!



Nigahon Mein Koi Bhi Dusra....


Nigahon Mein Koi Bhi Dusra Chehra Nahi Aaya

Bharosa Hi Kuch Aisa Tha Tumhare Laut Aane Kaa....!!!

Koi To Dard Ki Had Ho


Koi To Dard Ki Had Ho Jahan Ye Dil Thehre 
Kahin To Chaaon Ho Aisi K Dum Lia Jaye

Bikhar Bikhar Si Gai Hai Tamam Hasti Hi
Rafu Karen Bhi To Kya Aur Kya Siya Jaye...

Bichar Jao Magar Yeh Soch Lena


Jawaani ke Kathan Raston Pe Har Su
Faraib-e-Aarzu Khaana Paray Ga

Bichar Jao, Magar Yeh Soch Lena
Tumhain Ek Roz Pachtaana Parray Ga

Marham na ban sake gi kabhi


Marham na ban sake gi kabhi maa'zrat teri.

Dil torne se pehle tujhe sochna to tha.

Mere chehre pe hansi la sakte ho


Mere chehre pe hansi la sakte ho
Kya tum waapas aa sakte ho

Qareeb Aa K Bohat Door Ho Gya Wo Shakhs,


Qareeb Aa K Bohat Door Ho Gya Wo Shakhs,
Na Janey Kon C Dunya Me Kho Gya Wo Shakhs...

Khyal-O-Khuwab Ki Tabeer Mujhe Samjha Kar,
Meri Hi Zaat Mein Mujh Ko Dabo Gya Wo Shakhs...

Main Apne Hijar Ki Raaton Me Rang Kese Bharon,
Mujhe Jaga Kar Sar-E-Sham So Gya Wo Shakhs..

Wao

Related Posts with Thumbnails